Tuesday, March 29, 2011

Atit Ki Dulhan



Byaaz Pe Byaaz, Byaaz Pe Byaaz
Zindagi Maut Ke Yanha Girvi Padi Hai
Samne Mere "Atit Ki Dulhan" Khadi Hai

Atit Ki Dulhan
Jisase Mujhe Bachpan Me Byaha Gaya
Woh Maa Ka Pyar
Bapu Ki Fatkaar
Bhai, Bahin, Dost, Pariwar
Sab Yaadon Ki Jhadi Hai
Samne Mere "Atit Ki Dulhan" Khadi Hai ...

Lakh Koshish Karu Magar Bhul Nahi Paata
Woh Pani Ki Kal-Kal
Pakshiyon Ke Kalrav
Jharne, Pahaad, Nadiya
Jhanvaro Ke Kartab
Prakriti Jaise Jaadu Ki Chhadi Hai
Samne Mere "Atit Ki Dulhan" Khadi Hai ...

Bachpan Ki Masti
Luka-Chhipi, Kancha, Kabaddi, Sitoliya
Woh Galiyan, Galiyon Me Dosto Ki Toliyan
Karenge Kuchh Zindagi Me, Magar Socha
Uske Liye Toh Zindagi Padi Hai
Samne Mere "Atit Ki Dulhan" Khadi Hai ....

21 Baras Ki Umra
Ek Se DO, Do Se Chaar Ki Zimmedariya
Roti, Kapda, Makan,
Bachchon Ki Bimariya
Path Par Zamaane Bhar Ki
Pareshaniyan PadiHai
Samne Mere "Atit Ki Dulhan" Khadi Hai ...

Chinta Hai To
Bete Ka Career, Beti Ka Kanyadan
Maa-Baap Ki Asthiyon Ka
Ganga Me Pinddaan
Haathon me,
Zimmedariyon Ki List Padi Hai
Samne Mere "Atit Ki Dulhan" Khadi Hai ...

Ek Baap
Taa-Umra Apni Khushiyan Girvi Rakhkar
Bete Ko Kandhe Ke Barabar Laya
Padhya Likhaya, Sabhya Samaz Ke Kabil Banaya
Magar Usi Aulad Ki Aankh Mein,
Garib Baap Ke Liye Sharmindagi Ghadi Hai
Samne Mere "Atit Ki Dulhan" Khadi Hai ...

Antim Ghadi
Jigar Ke Tukde, Jigar Ke Nasoor Huye Hain
Musibat Ke Waqt, Saaye Humse Door Huye Hai
Andheri Kothari Mein
Charpai Par Zindagi Padi Hai
Aur Aankh Me Aansu Liye.
Samne Mere "Atit Ki Dulhan" Khadi Hai ...

Bharat Soni "Unmukt"
Barisadri,
Chittorgarh (Rajasthan)

2 comments: