Thursday, February 23, 2012

Yovan

Leharon ne sahilon pe tadfana chhor diya,
Tujhse Milne Ke Baad Dil Ne Dhadkana Chhor Diya,
Tera Chhoona hi kaafi tha mere jism ko,
mere yovan ne ladakpan chhor diya ................

Tuesday, August 2, 2011

Waqt

Waqt kisika sagaa nahi hota
Kaun kehta hai dosti mein dagaa nahi hota
Woh soye hai gairon ki bahon mein bebak
Yanha unki yaadon ke siva ratjaga nahi hota

Wednesday, March 30, 2011

Radha Shyam



Shyam Ki Yaad Me Radha Pal Pal Neer Bahayegi !

Woh Nahi Aaye to Kya Unki Yaad Me Zinda Reh Jayegi !
Phi Bhi Karna Na Itni Der Warna Tumhari Judaai Me Mar Jayegi !
Tadpoge Uski Yaad Me Nisthur Jab Tumhe Yaad Karne Wali Reh Na Payegi !
Badlegi Karvate Woh To Neend Tumhe Bhi Na Aayegi !
Tab Aankhe Tumhari Uski Yaad Me Aansu Bahayegy !
Umne To Basaya Hoga Hazaro Ko Aankho Me,
Woh Sivaay Tumhare Kisi Aur Ko Basa Nahi Payegi !
Tum Bhool Bhi Jao Rajpaat Me Bansuri To Kya,
Woh Banke Dhun Gokul Me Gunjayegi !
Kiske Sahare Chaloge Jab Parchhai Hi Chhoot Jayegi !
Aur Kya Karoge Zinda Rehke Jab RADHA HI ROOTH Jayegi

Vasla Ki Raat


Kandhe Par Rakhke Sar Mujhe Rone Do Tum Zara

Ashq Kehdenge Woh Jo Keh Na Payi Zubaan
Baad Muddat Ke Aayi Hai Vasla Ki Raat (Vasla-Milan)
Tarah Tasveer Ki Dil Me Bithane Do Zara
Falak Ki Tarah Tadpa Hun Aaj Tak (Falak-Aasman)
Zariye Kshitiz ke Milne Do Zara (Kshitiz-Horizon)
Darmiyan Na Rahe Tinke Bhar Ka (Darmiyan - Distance)
Rooh Ko Rooh Se Aalingan Karne Do Zara (Aalingan-Hug)
Ban Jaaye Masi Ashq Mere Nayno Ke (Masi-Ink)
Itihaas Ki Dali Par Nav Pristh Judne Do Zara (Nav Pristh -New Page)

Tuesday, March 29, 2011



Atit Ki Dulhan



Byaaz Pe Byaaz, Byaaz Pe Byaaz
Zindagi Maut Ke Yanha Girvi Padi Hai
Samne Mere "Atit Ki Dulhan" Khadi Hai

Atit Ki Dulhan
Jisase Mujhe Bachpan Me Byaha Gaya
Woh Maa Ka Pyar
Bapu Ki Fatkaar
Bhai, Bahin, Dost, Pariwar
Sab Yaadon Ki Jhadi Hai
Samne Mere "Atit Ki Dulhan" Khadi Hai ...

Lakh Koshish Karu Magar Bhul Nahi Paata
Woh Pani Ki Kal-Kal
Pakshiyon Ke Kalrav
Jharne, Pahaad, Nadiya
Jhanvaro Ke Kartab
Prakriti Jaise Jaadu Ki Chhadi Hai
Samne Mere "Atit Ki Dulhan" Khadi Hai ...

Bachpan Ki Masti
Luka-Chhipi, Kancha, Kabaddi, Sitoliya
Woh Galiyan, Galiyon Me Dosto Ki Toliyan
Karenge Kuchh Zindagi Me, Magar Socha
Uske Liye Toh Zindagi Padi Hai
Samne Mere "Atit Ki Dulhan" Khadi Hai ....

21 Baras Ki Umra
Ek Se DO, Do Se Chaar Ki Zimmedariya
Roti, Kapda, Makan,
Bachchon Ki Bimariya
Path Par Zamaane Bhar Ki
Pareshaniyan PadiHai
Samne Mere "Atit Ki Dulhan" Khadi Hai ...

Chinta Hai To
Bete Ka Career, Beti Ka Kanyadan
Maa-Baap Ki Asthiyon Ka
Ganga Me Pinddaan
Haathon me,
Zimmedariyon Ki List Padi Hai
Samne Mere "Atit Ki Dulhan" Khadi Hai ...

Ek Baap
Taa-Umra Apni Khushiyan Girvi Rakhkar
Bete Ko Kandhe Ke Barabar Laya
Padhya Likhaya, Sabhya Samaz Ke Kabil Banaya
Magar Usi Aulad Ki Aankh Mein,
Garib Baap Ke Liye Sharmindagi Ghadi Hai
Samne Mere "Atit Ki Dulhan" Khadi Hai ...

Antim Ghadi
Jigar Ke Tukde, Jigar Ke Nasoor Huye Hain
Musibat Ke Waqt, Saaye Humse Door Huye Hai
Andheri Kothari Mein
Charpai Par Zindagi Padi Hai
Aur Aankh Me Aansu Liye.
Samne Mere "Atit Ki Dulhan" Khadi Hai ...

Bharat Soni "Unmukt"
Barisadri,
Chittorgarh (Rajasthan)